Friday 17 February 2012

Mera Gaon Mera Desh..!!!

ek gaon dekha tha sapno mein maine,
एक गांव देखा था सपनो में मैंने,
jahan rooz subah hoti thi,
जहाँ रोज़ सुबह होती थी,
chand chupta tha aor suraj nikalta tha,
चाँद छुपता था और सूरज निकलता था,
koyal gaati thi bhavaren gungunate the,
कोयल गाती थी भवरें गुनगुनाते थे,
aur hawa bhi kuch keh kar jaati thi,
और हवा भी कुछ कहकर जाती थी,
andhkaar ko tilanjali deti hui har kiran,
अंधकार को तिलांजलि देती हुई हर किरण,
jyotirmaya hone ka ehsaar karati thi|

ek gaon dekha tha...........
jahan har or jeevan tha aur,
har or jeevan jeene ki chah thi,
bhale hi manzilen seemit thi phir bhi,
jeevan jeene ki ek nishchit raah thi,
ek dhara thi jo aviral behti jaati thi,
jo aseemit thi par seemaon mein bandh bhi jaati thi|

ek gaon dekha tha .........
jahan main tha tum the aur aap the,
ankahe kintu kuch ati priya ehsaas the,
kuch pal kuch avismarniya baate thi,
kuch yaaden thi kuch apoorn fariyaden thi,
man mein anek kathin sawal the,
aur unhe hal karne ke kai prayaas the|

ek gaon dekha tha ........
jaane woh sapna kahan khoota ja raha hun,
neend mein jaga tha ab soota sa jaa raha hun,
hey Ishwar!!! ek baar mujhe phir sula do,
vahi sapna mujhe phir dikha do,
Bas ek baar mukhe phir sula do....................................